Monday, August 6, 2012

1 Panchi ki udaan....



1 panchi ne bhari sapno ki duniya me apni pehli udaan,

Kuch karne ki chah thi ; chune the use kai makaam,

Udaan bharte hi uske pankh sambhal na paaye usko,

Dagmagayi uski udaan aur toot gaye uske saare armaan,

HAara wo apni koshisho me..socha, nahi bharni dobara udaan,

Gumsum tha wo khamosh tha wo ; jeene ki chah na thi.. har pal bus thi aakh bhar aayi..

Kosa usne apni kismat ko..kar li usne apne aap se ladai;

Bhagna chahta tha wo apni zindagi se bus dil k kone se 1 awaz aayi...




Kya hua agar main haara..kya hua jo naa poori hui meri udaan,

Kya hua agar kismat ne saath nhi diya

Kya hua jo main ud naa saka

Aaye ab chahe koi toofan

Udna to main seekhunga chahe ye hawain naa de mera saath

Mod lunga 1 din hawaao ko main apne saath

Sab kuch hoga 1 din mere haaath

1 din hoga yeh mera aakash

1 din hoga yeh mera aakash




Hai kuch aisa MERA EHSAAAS